| QUOTE (samina @ Mar 4 2005, 03:49 PM) |
| ARY MAIN KHOO JAWAB IN TMAM BATOO KA HY MARY PAS LKN MJY TFARKA BAZE NAHE KARNA CHA RAHEE. HUM KHUDA KAY RASOOL AUR IMAMO KO FOLLOW KARTY HY.AP JISY CHAY FOLLOW KARY HM NT TO NAHE ROKA AP KO. THEEK AUR AP LOGO KO QURANE REF.NHEE DO GE AP LOG TAFSEER CHANGE KAR DTY HY. BAKE HUM TO KHUSH HY JSY BEE HY.TKLEF TO AP LOGO KO HY.HMY TO NHEE. HAK 2 SORTO MAIN KHAMOSH HOTA HY. 1.JB KOI BTH SMJNA NA CHA RAHA HO. 2.JB SB SRF BHAS BRYE BHAS KAR RAHY HO. IS LYE MAIN HE KAHAMOSHE AKHTYR KAR RHEE HO. AP LOG BOLOY.COOMON |
| QUOTE |
| hum un ko follow is lia nhi kertay kunkeh woh khud har mushkil main HAZRAYT ALI(a.s) sa maded mangtay tha |
| QUOTE |
| aur hum is liya bhi nhi kertay kun keh unhon na janab-e-FATIMA(a.s) ko takleef di aur un ka haq cheena un sa jab keh nabi na kaha tha keh FAIMa(a.s) meray jigar ka tokra hai jis na isay takleef di is na mujhay takleef di tu jis na FATIMA(a.s) ko naraz kia is na mujhay naraz kia... |
| QUOTE |
| tareikh agar aap parhain tu aap ko pata chalay ga keh unhon na kia rawaya akhtiyar kia tha rasool allah ki wafat keh bad... |
| QUOTE |
| pehlay tu main yeh pochna chahon gi keh is hadees ka ravi kon hai....aur kis kitab main hain aur nabi aisi baat kaisay keh saktay hain keh jab ALALH na unhain akhri nabi bana ker bheja tu woh aisi baat kun kahain ga keh meray bad agar...... kun keh nabi ki kisi baat main agar magar nhi tha... agar aap ko hadeees likhni hai tu aisi likhain keh jis ka ravi ho.... |
| QUOTE |
| "sahi" bukhari the old one parhain aap ko saray sawalaton keh jawab mil jain ga...eik sunni writer ki hai.. aisi hadees main na kabhi na tu suni hai na parhi hai...is liya jab aap ko is ki boook aur ravi ka pata chalay tu plzz batai ga takeh main bhi dekh lon.. |
| QUOTE (LoVe_Me_On_Urz_RiSkKzzz @ Mar 7 2005, 01:39 AM) |
| nakal bhi hum ko Our Prophet Muhammed (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki zindaghi ki kerni chahiyeh takey hum akel istamal hi neh karein jasey k ap shiyaa logooh ney akel istamal ki or apney ap religion change kerliya Our Prophet Muhammed (Sallallahu Alaihi Wasallam) k time tu koi shiya tha hi nahi tu yeh shiya kaha sey aghaey zahir c baat hain unhooh ney akal istamal ki or firqooh mey bath ghaey |
| QUOTE |
| HAZRAT ALI (A.S) ka her amal HAZRAT MUHAMMAD(S.A.W) ka amal hay hum HAZRAT ALI (A.S) ko follow karain ya HAZRAT MUHAMMAD(S.A.W) baat aik hi hay kyun kay APP (S.A.W) nay khud farmaya hay kay "Ali (A.S) ko mujh se wohi nisbat hai jo Haron(A.S) ko Musa(A.S) se thi" yani kay ager App (S.A.W) kay bad koi nabi hota tu woh HAZRAT ALI (A.S) hotay |
| QUOTE |
| aap aik baat batain k Islam jo itna mukamal mazhab hia jo hum ko paani peenay k adab se lay kar kapray pahnay k aadaab tak batata hai jo hum ko yah batata hai k ghar se nikalty waqt under aaty waqt kia duaa perhni chahiay tu yah batao k Khilafat jaisa mamlaa jo k sub se imp hai k Nabii (S.A.W) k baad kon mulims ka ameer hoga baghair kuch kahy baghair chor jain gay is baat ka jawab dain tu aagay baat ho gi kyun k jo hadeez main likhon gi us par Emaan lana aap k bas ki baat nahi hai is liay pahly is mamly par ghor kar lo |
| QUOTE |
| bilkul janab nabi pbuh nay is chez ka faisla duniay mein hi kardia tha kay meray baad kaun khalifa banaiga aur jab yeh faisla us wakt kya tha us time Hazrat Ali (RA) bih wahan par maujood thay.... but mujhay nahi maloom kay shia hazrat is haqeeqat say Q parda farmatay hain.. jab Hazrat Ali ko hazrat abu bakr kay khalifa bannay par koi aitraz nahi tha to aap kaun hooti hain aitraaz karnay wali ??? |
| QUOTE |
| hazrat ali(a.s) nabi(s.a.w) kay bad sab say pehlay aatay hain |
| QUOTE |
| yaar dekho meray bhai agar rasool -e- akram (saw) ko nabi mantay hoo un kay bataye huay raston par chaltay hoo tou hazrat ali(a.s) ko mola q nahi mantay |
| QUOTE |
| hazoor(s.a.w) nay kaha sahab-e-akram (s.A.w) say kay member lao member yani jis par beth kar khudba diya jata hai sahaba nay jawab diya ya rasool allah(S.A.w) jungle hai biaban hai yehan kaaisay lein tou meray rasool (S.A.W) nay kahan agar la nahi saktay tou banao phir sahaba -e-akram (S.A.W) nay kaha kay na auzar hain kaisay banaein member phir rasool (S.A.W) nay farmaya kay yeah jo ount(camel) hain in par bethay wali( lakri ki koi cheez hoti hai meray zehan say naam nikal gaya hai) woh jama karo aur ek kay upar ek kar kay rakh doo |
| QUOTE |
| hazoor(S.A.W) member par bethay aur khudba diya laiallaha ilallah ( allah ek hai ) mauhammad un rasool allah (mauhamad allah kay nabi hain ) aur ali un wali allah ( hazrat ali(a.s) wali hain) aur phir woh ayatein parh kar sunaein kay ajj mein nay tumhare liye deen ko mukamal kar diya tou batao kalmay main q nahi aaye ali un wali allah |
| QUOTE |
| app yeah dekho kay hazoor(S.A.W) member par bethay hazrat ali (a.s) kay fazayal bayan kar rahay hain majma hai sahaba-e-akram ka tou majlis bhi sunnat-e-rasool(S.A.W) hui kay nahi hui hum bhi yeahi sunat agay liye chal rahay hain.......... |
| QUOTE |
| hazrat umer ko is liye nahi mantay kay jo unhonay nay bibion kay sath kiya tha jab woh un kay ghar gain thin tou dhakay maaray nauzobiallah un kay honay wala bacha bhi ........... |
| QUOTE |
| hazrat ayesha ko iss liye nahi q kay hazrat ali (a.s) kay khilaf unhonay jang ka ellan kiya tha ................. |
| QUOTE |
| dekho jab yeah kehtay hain kay kay umer khulfa -e-rashiden main shamil hain tou tum woh yaad karo kay jab hazoor (S.A.W) kay wafat ka time tha tou allah say kaha meray rasool(S.A.W) nay kay mujahy meri ummat ka mustakbil bataein tou allah nay mana kar diya tha aur yeah sab hazoor ki waffat kay bad hii hua hai jab khilafat par hazrat umer aur abu bakar nay hazrat ali say mukharna shuru kar diya tha |
| QUOTE |
| matam is liye kartay hain kay jab woh ghazwa-e-auhad ka wakia tha hazoor(S.A.W) ka dant -e-mubarak shaheed hua tha tou sahaba-e-akram nay apnay saray dant toor diye thay aur hazoor nay kuch nahi bola tha .... yaar yehan tou hazoor(S.A.W) ka sara khandan shaheed kar diya gaya kaisay na karein matam bbibi zainab kay sir say khoon sab say pehlay nikla jab imam mera shaheed hua .......... |
| QUOTE |
| asal main masla yeah hai kay app loog talkeen tou kartay hain par puri baat nahi samajhtay ... |
| QUOTE |
| ek jaga muhasra hoo raha tha shia aur sunni allimonn ka bauhat hi parhi likhi mehfil thi sirf ek mula tha bech main khanay ka break tha tou ek taraf table kay sunni ullma aur ek taraf shia ullma tashreef farman thay mula nay sawal kiya ek shia allim say kay ek baat bataein kay shia aur kafir main kya fark hai yeah koi sawal nahi tha us mehfil main pochnay ka q kay jitni adab aur mulahisay say batt cheet hoo rahi thi wahan ....shia alim nay thora socha aur phir bolay kay ek table ka yeah sunna tha aur sab uth kar chalay gaye ..................... |
| QUOTE |
| dekho meray bhai main app ki burai bhi karna chah raha par jo asal baat hai woh tou app follow karo na ya agar nahi kar saktay tou dusray ko talkeen bhi na karo yeahi time allah ki ibadat main guzar do aur usi say keho kay hum ko sahi rah par chalaye .......... main nay ashes kamaskam 5 mahinay bad khola hoo ga aur yeah sab.... khair app ko agha karna bhi humara farz hai warna kayamat kay din allah sawal karay ga..... |
| QUOTE (ashhad4u @ Mar 8 2005, 12:59 AM) | ||
| :salam:: brother Mohsin... really glad to see ur reply.. :) reply karnay say pehlay eik chez mein aapko bata don kay hum lgoon kay paas information kay 2 sources hain 1st one is Quran (primary Source) n second one is Hadith (secondary Source) ... Hadith ki authenticity chek karnay ka sab say acha tareeka jo kay mohaddithen say chuna aur ummat ko bataya woh yeh hai kay aga rkoi hadith Quran kay agaisnt jati hai to usmein zaroor koi na koi rawi Dhaif hoota hai aur Quran kay against jani wali cheez hum follow nahi karsaktay... jasiay kay 200 Hadtih aise hain jin mein yeh bola gaya hai kay Quran mein implementation hoi hia.. but yeh sab ki sab hadith Dhaif hain coz Allah swt nay khud Quran mein farmaadia hai kay Its is who we revealed this Quran n certainly we preserve it bilkkul isi tarha Quran ki bohat si ayatain hain jahan par Allah SWT nay sahaba ki azmat ka zikr kya hai.. agar koi shakhs koi aise hadith paish karta hai jinemin is sahaba kay against koi baat hoo to hum usko Dhaif qarar daingay coz woh Quran kay against hoogi... I heop u understand...
Ahle sunat wal jamat ka ischeez par iktifa hai ka nabi pbuh kay baad jo insanon mein jo sab say afzal zaat hai (xcept Nabi) woh hazrat Abu bakr (RA) ki hia.. aur hadith say bhi yehi sabit hai .. Nabi pbuh nay farmaya :: Abu Bakr Siwaye nabion kay sab insanon say afzal hain. Reference from Tibrani sorry to say here i m not comparing the status of sahaba but just telling u the reality .. I think u take this positively... any way.... coz hazrat Abu bakr (RA) woh wahid shhakhs hain jinkay peechay aap PBUH nay khud namaz parhe hai .. Qayamat kay din jab logon kay hissab ka wakt kareeb aiga to Allah swt bohat Jalal mein hongay aur Nabi pbuh Hazrat Abu bakr ka hath pakar kay Allah kay agay khara kardaingay.. aur Allah swt sb say pehlay Hazrat Abu bakr ka hisab laingay aur iskay baad inka Ghussa thanda hojaiga... yeh to sirif hadith hain.. Hazrat Abu bakr (RA)ki shan mein jo Quran ki ayatain nazil hoi woh yeh hain.. 1 Woh shakhs yani sadaq yani Quran aur deen lay kar tashreef laye (hazrat Abu bakr ) nay iski tasdeeq ki 2 Anqareeb door rakha jaiga is shakhs (abu bakr siddiq) ko jo apnay maal ko tazkiah kay liya ada kartay thay iska mansha yeh nahi tha kay koi iski in naimatoon ka badla day balkay iska mansha aur aqeedah apnay rab e ala kay khushnoodi hasil karni hia aur kareeb hi woh rab apni razamandi ka izhaar karaiga.. 3 jab nikal dia tha kafiron nay yani Nabi pbuh aur (abu bakr) ko jabkay woh donon hazrat ghaaar (cave) mein thay aur jabkay isnay apnay sathi yani (abu bakr) ko kaha tha kay fikar mat kar beshak Allah hamaray sath hai.. iskay ilawa bohat si aise ayatain jin mein sahaba ki azmat ka tazkara batadreej araha hai... |
| QUOTE |
| dekho meray bhai yeah brackets main naam jab hazoor(s.a.w) ka zamana tha us waqt nahi likhay gaye thay isi liye hum loog bhi in ayaton par bhes nahi kartay, |
| QUOTE |
| q kay app translation ko kahan say kahan lay jatay hain baki jo quran ki aayatein hain un hi roshni majalison main dee jati hai |
| QUOTE |
| dekho meray bhai jab bhi hum koi hadees paish kartay hain tou app kehtay ho k galat hai quran say dalayal baian kartay hain tou bhi galat hotay hain |
| QUOTE |
| yeah jo bhi aayat app nay deen hain us main ( ) main naam aaya hai translation tou abhi hui hai na 1200 saal bad .... tou umer aur abu bakar na mannay wale app dekh lo ........... |
| QUOTE |
| plz if u can try to read this book by a non muslim guy but a strong historian ..... THE SUCCESSION TO MUHAMMED by Wilfred Madelung i must say its better not to say anything which u dont know coz this little things often create mis understandings among sects . How can u say that we shia love Maula Ali (AS) more than Prophet(PBUh).how can u do that?even Maula Ali said him "Aaqa".how can u leave Maula Ali`a Aaqa behind??? does it make any sense.Maula Ali learnt from Mohammad(Pbuh).as far as the love from Maula Ali is concerened Prophet (PBUH0 himself said "apni mehfil ko Ali (AS) ka zikr say sajaya karo" he said more abt him "Ali ka chehra (face) dekhna bhi Ibadat hay so this proves that how much Prophet Love Maula Ali (AS) .. "Mun kuntu Maula Fahaza Ali un Maula" to whom i m master Ali is his master"i dont think that there is anything left .yeah one thing more Imam hussain (as) said "kay meray pass aisi 2 cheezin hay jo dunia may kisi ka pass nahi ..1; aik meray Nana Prophet (PBUH) and 2: meri Amma BB FATIMA (as) Imam hussain jin ka baray may aisa bol dayn tu phir hamari kia Auqqat hay (sorry for the urdu but it was necessery to help her understood),For God sake think before saying anything coz this may lead to misunderstandings among ppl. |
| QUOTE (ashhad4u @ Mar 8 2005, 12:59 AM) | ||||||||
:
wat do mean by this ?? kya hum hazrat Ali (RA) ko nahi mantay ??? ji janab aise hargiz nahi hai in logon ka jo status hai us tak to shyad koi pohanch bhi nahi sakta... yeh apni apni sooch ki baat hai .. alhamdulillah ahle sunnat wal jamat tamam sahaba ko dil say mantay hain... aur buraye karnay ko Guanh e kabira samajhtay hain coz nabi pbuh nay khud farmaya hai kay Meray baad meray sahaba ko galian mat daina agar tumhain uhad pahar kay barabar soona bhi milay too aur aapki Mola say kya murad hai ?? kya hum bih Ya Ali madad keh kar Khullay aam Shirk karain ??? its impossible... madad sirf Allah karta hai na kay Ali (RA)
1st plz provide reference 2ndly.. is hadith mein jis tarah sahaba ko hukum dia jaraha hai kya ap samajhtay hain kay nabi pbuh kabih sahaaba koi jabran koi kaam karnay ka hukum daingay ??? jabkay sahaba kay aur musalmanon kay halat us wakt kya thay yeh sab ko maloom hai... any way... any way... i dun wanna discus the authenticity of hadith here just bak to the point
janab nabi pbuh nay bilkul bola kay Ali (RA) allah kay doost hian.. but kya nabi pbuh nay yeh bola kay Umar Usman Abu bakr (RA) allah kay dushman hian ??? agar hazrat Ali (RA) allah kay wali hain to doosray sahabaioon kay darjay bih bohat buland hian..aur jahan tak rahi kalmay ki baat to kya kabhi nabi pbuh nay yeh bola kay Ali un wali ullah ko kalmay mein add karooo ??? jab nabi pbuh nay apna akhri khutba dia to us time takreban 1.25 lakh sahaba hazir thay... agar nabi PBUH ka hukum hoota kay isko kalmay mein add karoo to sab shaba aaj balkay sb musalman aaj yehi kalma parh rahay hootay.. na kay sirf Shia hazrat.. aur kya kabhi hazrat Ali (RA) nay yeh bola kay yeh kalma parhoo ????
ji janab allah swt nay in sahabaoon ko status hi aisa dia tha kay inkay fazail nabi pbuh bhi bayan kartay thay jaisay ... |
| QUOTE |
| WE Used To call him Molaa As Our beloved Prophet (pbuh) Used this WOrd for Ali (a.s) in Hajjatul Wedda the day whn Our Religion Islam was completed .... Man Kuto Mola fa Haza Ali un Mola.... ...jis ka main maula us ka ALi maula.. these r the words Prophet(pbuh) used .... ill also post the details of tht Kudba later... for ur ref SO shortly we are following the Sunat Of prophet (saw).. and this is enough as a reason for calling Ali(a.s) mola.. |
| QUOTE |
| U r takin all of it in a wrong way......to ask anyone EXCEPT Allah is a sin.but to ask anyone to intervene is not a sin.let me remind u ke khaliq aur maabood ke mabain taluq kaim karwanay walay bhi yeh imam aur nabi hi hain. |
| QUOTE |
| jab khuda ne apni hidayat insanoon ko direct nahin pohanchayi balkay waseelay chunay...to phir hum kyun nahin in waseelon se madad mang saktay.is belief ke saath ke karnay wlai to sab kuch khuda ki zaat hai magar woh waseelay hamain hadayat de saktay hain to hamari problems solve bhi kar saktay hain.. |
| QUOTE |
| Hamaray Aima Tahireen apni khudadad salahiyatoon aur taqatoon se hamaray masail hal kartay hain aur yeh baat to bilkul darust hai ke dunya waloon ka sara ilm, saari taqattain, tamam tar salahiyatain chahada masoomeen ke ilm, salahiyatoon aur taqatoon ke muqablay main aisi hi hain jaisay suraj ke muqablay main rakh ka zarra. |
| QUOTE |
| Is liye hum Ya Ali Mada ya Ali maula yun to har waqt hi kehtay hain laikin un mushkillat main khas taur par kehtay hain jinhain na to koi doctor door kar sakta hai, na hi dunya ka koi engineer, badshah ya wazir. |
| QUOTE |
| Haan yeh baat bilkul darust hai ke Allah ke siwa kisi se sawal karma shirk hai laikin jin hastiyoon se sawal karnay ki ijazat khud allah ne di ahi in se sawal karma shirk nahin ain ibadat hai. |
| QUOTE |
| Agar koi insaan doosray insaan se yeh samajh kar sawal karay ke who insaan apni zaati taqat se masla hal kar de ga to yeh shirk hai. maslan aik mareez yeh samjhay ke usay jo sihat hasil hoi hai woh doctor ki zaati salahiyat ya dawa ki taseer se haasil hoi hai to usne doctor ya dawa ko allah ka shareek bana dia. yeh shirk hai. laikin agar aik mareez yeh yaqeen rakhta ho ke zindagi, maut, sihat eyh sab allah ke haath main hain aur ilaaj mualja sihat yaabi ka aik zariya hai, doctor ke pass jo ilm, shafa yaabi ki taqat hai aur dawa main marz ko khatam karnay ki jo taseer hai uska paida karnay wala allah hai yeh salahiyatain, ilm aur taseer doctor ya dawa ko allah hi ne ata ki hain ato aisi surat main apna ilaaj karwana wajib amal hai aur ibadat sa darja rakhta hai. Ab tum khud hi batao ke rozana lakhoon karoroon musalman haspataloon main doctors hata ke ghair muslim doctors se shafa yaabi ke liye madad mangaty hain aur sihat yaab ho jatay hain. ab agar yeh log beemari ki surat main sirf dua hi kartay rahain to na sirf bohat jald maut ke mun main chalain jayain gay balkay allah ki azeem naimat yaani jism aur sihat ki hifazat na karnay ki saza ke bhi mustahiq hotay. Aur bohat si misalain mujood hain maslan gari ki battery kharab ho jaye aur koi insaan yeh chahay ke sirf allah ko pukaranay se battery dobara charge ho jaye to aisa kabhi bhi nahin ho sakta. makan bannay ke khawahishmand afraad sirf khaali plot par beth kar ya allah ya allah kartay rahain to is plot par qiyamat tak koi imarat tameer anhin hogi. Makaan bananay ke liye engineers, naqsha bananay walay, mistari, mazdooron aur cement ki zaroorat hoti hai. SIrf duayoon se na deewarain uth sakti hain na chatain par sakti hain, is liye ke dunya ALAM I ASBAAB hai yaani yaha har cheez ke honay ke liye kisi na kisi sabab ki zaroorat parti hai. Allah tala ne zindagi ke liye zaroori tamam asbaab dunya main paida kiye hain, yahan insaan hi insaan ke kaam ata hai laikin allah tala ke hukam, iraday aur taufeeq ke mutabiq is liye ke MUSABIB_I_HAQEEQI yaani in asbaab ka asal khaliq o malik allah hai. AB jis tarah mareez shafa yaabi ke liye doctor se, makan bananay ke khawahish mand afraad mistari mazdoroon se aur ilm ke talabgaar usataza se madad ke talabgar hotay ahin, |
| QUOTE |
| isi tarah IHL-e-BAIT ke mananay walay apnay nabi HAZOOR -i-PAk, ameer ul momineen hazrat Ali, un ki aulaad main se ksii bhi imam se madad mangtay hain to yeh shirk anhin AIN IBADAT HAI. |
| QUOTE |
| I HOPE I MANAGED TO CONVINCE U...IF NTO THEN I WILL SAY THAT MISHA AGAR AAP ALLAH NA KARAY AGLI DAFA BEEMAR HOIN TO DOCTOR KE PASS MAT JANA CUZ DOCTOR ALLAH NAHIN HAI AUR GHAIR ALLAH SE MADAD MANGNA SHIRK HAI. |
| QUOTE |
| Imam Ali (AS) as a Vali or Maula proved from Quran: [Shakir 5:55] Only Allah is your Vali and His Messenger and those who believe, those who keep up prayers and pay the poor-rate while they bow. The following explanations of the Holy Qur'an state that this divine verse was revealed in honor of Imam Ali's (as) when he gave his ring to a beggar whilst he was bowing during prayers. Proved from Hadeeth: Collection of hadeeth provided by suni’s scholar Dr Tahir ul Qadri in his book “Ghadir Declaration”. Please visit the link: http://www.research.com.pk/home/fmri/books...dex.minhaj?id=0 http://www.research.com.pk/home/fmri/books...dex.minhaj?id=0 |
| QUOTE |
| sunni ) Follow Sunnat-E-Ali (Ahle sunnat Kalma ) and We Follow Sunnat-e- Rasool (Ahle Tashi Kalma ) if u wana know tht how, then i have an authentic reason (According to many books of AHL-E-SUNNAT and AHL-TASHEE ) .. |
| QUOTE |
| In ZULASHEERA : "Jub Huzoor (saw) ne HIDAYAT daina start ki thi HAZRAT ABDUL MUTTALIB(as) K ghar to farmaya ..... " K aaay giroh-e - Abdul muttalib ! MAY TUMHARE LIE DUNYA OR AKHRAT KI BEHTAREEN NAIMATAIN LAY KER AYA HOON .. TUM ME SE KON HAY JO MERI MADAD KARAY , MERA BHAI BANAY , OR MERA WASI BANAY or JO MUJH SE MADAD KA WADA KARAY GA WOH AAJ SE MERA WAZEER HOGA , AAJ HI SE MERA KHALIFA HOGA ... NOW u pplz tell me k is msg may LA ILAHA ILLALALAH kahan hay , Is may MUHAMMAD_RASULULLAH kahan hay .......................... |
| QUOTE |
| Payghumber(s.a.w) ne abhi ISLAM ka zikar bhi nahi kiya thaaa k MOLA ALI (a.s) uthay or kaha k " MAY GAWAHI DAITA HOON K ALLAH AIK HAY OR MUHAMAD (SAW) uske RUSOOL hayn ( jo k ahle sunnat ka kalma hay ) Means SUNNAT-E-ALI hay .. Mola Ali farmatay hayn k " MAY AAP KI ATAAT KAROONGA , AAPK DUSHMANON KI HADDIAN TORONGA , APNI JAAN QURBAN KERDOONGA , MAIRE BAAP NE MUJHE AISI HI TARBIYAT DI HAY K RISALAT KO BACHAO " Huzoor (saw) ne Jub ye suna to Mola Ali (as) k qareeb aaye or MOLA ki gurdan per PYAR se haath phera . Saare Mujmay se mukhatib ho ker farmaya ... " JO SUN RAHA HAY WOH SUNLAY , JO DAIKH RAHA HAY WOH DAIKHLAY , ALI MERA MADADGAR HAY , MERA WASI HAY , ALLAH KA WALI HAY " 90 Crore muslims jo kalma parh rahe hayn woh ALI ki sunnat hay , NABI k nahi ... ! . khair aagay sunyeee |
| QUOTE |
| to abb rha kalma ka sawaal...jo shaks LA ILA HA ILLALLAH MUHAMMADIO RASSULALLAH parhay ga woh musalmaan to jo jayega laikin momin nahi..... |
| QUOTE |
| Hamara kalma.....ALI UN WALI ULLAH WASI O RASUL ALLAH WA KHALIFATU BILA FASL.......ko jo bhi parh lega woh musalmaan ke saath saath momin bhi ban jayega........ to hum kia huye ....MOMIN....... maula salamat rakhay YA ALI MADAD kehnay walo ko..... |
| QUOTE (ashhad4u @ Mar 8 2005, 12:59 AM) | ||
jab mohammad owais qurni (RA) nay apnay saray dandan e mubarak shahed karliya to nabi pbuh nay unko tanbiah farmaye ... again nabi ka koi hukum Quran kay against nahi hoota.. agar koi shakhs yeh bolta hai kay nabi pbuh nay unko aisa kam karnay par shabashi di ya khush hoay to its mean kay (maaazallah) nabi ka hukum Quran kay against hai jismein allah swt nay musalmanon ko sabar kanrnay ki talqeen ki hai... aur matam jaise koi cheez kabhi deen ka hissa hoi hi nahi hai... agar matam islam ka hissa hota to nabi pbuh hazrat Hamza kay liya matam kartay... hazrat ali nabi pbuh kay liya matam kartay... hazrat hasan n hussain (RA) hazrat ali kay liya matam kartay... but aise koi cheez kabhi deen ka hissa rahi hi nhi hai... agar koi shahks yeh bolta hai kay matam fitrat mein hai to extremisim nah ihai islam mein.. islam kahin par yeh nahi bolta kay apnay aapko nuksan pohanchaoo... well agar apko apna jazba dikhana hai to un rastoon par chalain jin par hazrat hussain (RA) chalay.. aur deen ko sarbuland kya.. |
| QUOTE (ashhad4u @ Mar 8 2005, 10:07 PM) | ||
| :salam::: Mohsin.. first of all i would like to tell u kay mein Hzrat Ali . Hasan n Hussain ki bih itni hi respect karta hoon jitni kay Umar Abu Bakr Usman (RA) waghaira ki karta hoon.. aur in logon ka jo muqaam hai jo rutba hai wahan tak to hum loog phoanch bhi nahi saktay...
jasiay kaay aapnay bola kay jab nabi pbuh nay yeh alfaz bolay kay jiska mein mola uska ali mola uar yeh bih faramya kay deen mukammal hogaya to janab iskay sath nabi pbuh nay Surah Anfaal ki kuch ayatain bhi parheen then.. any way.. agar accordin to shia beleif kay ALi un wali ullah kalmay ka hissa hoota to nabi pbuh zaroor ummat ko yeh boltay yeh parhoo unhonay yeh bola zaroor tha kay ali un wali ullah aur yakeenan bola hia but unhonay yeh nahi bola kay is cheez ko kalmay mein add karoo.. as i mentioned earlier kay us time 1.25 lakhs sahaba maujood thay even Hazrat Ali (RA) khud bhi maujood thay kya us din kay baad hazrat Ali (RA) yeh kalma parhna start kardia ??? kya kabih kisi sahabi nay isko as a Kalma recite kya ???? agar yeh kalmay ka hissa hoota to kya nabi pbuh isko parhnay kay baad boltay kay deen mukammal hogaya ???? yani kay jisnay yeh parha nahi iska deen mukammal nahi ??? aur us say pehlay jo dawat e tableegh nahi pbuh daitay rahay woh to incomplete hogaye ???? |
| QUOTE (ashhad4u @ Mar 8 2005, 10:07 PM) |
| : agar yeh kalmay ka hissa hoota to kya nabi pbuh isko parhnay kay baad boltay kay deen mukammal hogaya ???? yani kay jisnay yeh parha nahi iska deen mukammal nahi ??? aur us say pehlay jo dawat e tableegh nahi pbuh daitay rahay woh to incomplete hogaye ???? |
| QUOTE (ashhad4u @ Mar 8 2005, 10:07 PM) | ||||||||||||||||||
001.005 Thee do we worship, and Thine aid we seek. Al-Qur'an, 001.005 (Al-Fatiha [The Opening]) i think u r talking about WASEELA... plz correct me if i m wrong... allah swt nay yeh kahin bola kay agar direct mujhsay mangoo to mein nahi doonga ??? balkay Surah fatiha mein saaf saaf yeh baat agaye hai kay HUM TERI HI IBADAT KARTAY HAIN AUR TUJHISAY MADAD MANGTAY HAIN kya ap yeh sochtay hain kay agar aap allah say direct mangaingay to allah swt aapki baat nahi sunaingay ???
Allah swt nay insaan ki rahnumaye kay liya apnay khas bandon ko yani nabion ko chuna but allah swt apna mesg convey karnay mein nabion kay mohtaj nahi thay Mind it ! jaisay kay allah Surah e ikhlaas mein farma rahay hain Alllah o Samad yeh to allah ki shan nahi hai kay woh kisi banday say khud kalam karay ...but agian allah apna mesg Convey karnay mein Nabion kay mohtaaj nahi hian... aur jaisay kay aapnay bola kay HUM Q IN WASEELON SAY MADAD nahi mang saktay madad aap insay nahi mang saktay balkay Inkay waseelon say mang saktay hain.. Q kay yeh madad dainay kay qabil nahi hain ab.. aur jasiay kay apnay bola kay yeh waseela aapko hidayat daingay .. to janab Allah swt nay saaf Quran mein farma dia hai kay HIDAYAT SIRF ALLAH HI TARAF SAY HIA aur jisko Allah ki hidayat mili woh kamiyab hogaya aur allah kay ilawa na hi to koi aapki Problem solve karsakta hai... aur madad dainay wali zaat sirf allah ki hia... agar aap yeh sochtay hain kay Ya Ali madad kehnay say aapki madad horahi hia to yeh Shirk hai Q kay Ya arabic word jis kay meaning hi Hazir o Nazir kay ya Maujood rehnay kay ... ya agar aap kisi ko muhatib kar rahay hain too... agar koi shakhs ya ALI madad bol raha hai to its mean kay woh yeh soch kay ya Ali madad bol raha hai kay Hazrat Ali uski awaz sun rahay hain ya woh shakhs hazrat Ali say mukhatib hai... jabkay Hazrat Ali ka inteqqal hochuka hai ... aur na hi to woh hazir o nazir hain.. Hazir o Nazir sirf eik alah ki zaaat hai na kay kisi aur ki... agar hazrat Ali madad karsaktay to woh sab say pehlay apnay Betoon ki madad kartay...
kya Allah swt nay kahin yeh bola kay koi aisa shakhs kisi ki madad karsakta hia jiska Inteqqaal hogaya hoo ?? aap is say kya sabit karna chahtay hian kay aapka Aima hazir o Nazir hain /??? janab hazir o Nazir sirf allah ki zaat hai aur koi nahi... yeh Shirk nahi hai to aur kya hia.. aapkay aima agar zinda hootay to kisi ki maadad karsaktay thay.. jaisay kay duniyawi kamoon mein eik insaan doosray insanon ki madad karta hai.. but they are all dead.... aur Allah swt nay sab sayziada ilm Nabi pbuh ko ata kya na kisi aur ko.... aur masoom sirf allah kay nabi hotay hain.. dont think i m critisizing the status of sahaba but allah nay hamesha nabion ko gunahon say dooor rakha hia .. aur unki hifazat khud ki hai... for Eg Noooh AS Yousuf AS LOOT AS etc etc...
again madad sirf allah hi ki zaat daite hia... ya Allah Madad / Ya Ali madad ??? is say kya sabit hoota hia jsiay aik insaan allah say madad mang raha hai waisay hi aap Ali (RA) say madad mang rahay hian waseela to hai hi nahi beech mein agar aap waseela ki baat kartay hain to aap YA ALI MADAD nahi balkay YA ALLAH hamain ALI (RA) kay sadqay ya Nabi pbuh kay sadqay ata farma ... na kay directly unsay sawal karaingay... aur mushkilaat mein sirf Allah hi madad kartay hain na kay Hazrat Ali (RA) han agar koi shakhs aapkay samnay hai to aap us say duniawi madad lay saktay hian aap usko pukar saktay hian coz kay woh aapkay samnay hai... but hazrat Ali (ra) ka wisaal hochuka hai .. woh ab hazir o nazir nahi hain..
janab e ali Quran ki ayat.. hum sirf teri hi ibadat kartay hain aur tujhhi say madad mangtay hain... aur allah nay kis book mein kis jaga likha hai kay in hastion say mangoo mein doonga ??? yahan tak kay allah swt nay khud quran mein nabi pbuh ko bola kay (mafhoom) Aye mohammad pbuh aap farmadijiye kay meray liya sirf allah hi kafi hia aur aapsay kisnay bola ya koi aise kitaab kay jismein likha hoo kay insay mangna ibadat hai ?? akhir kaunsi aise kitab hai jismen mulsims ko shirk karnay ka kaha jaraha hai .... janab e ali quran allah ki kitaab hai ismein kahin bhi koi tarmeem ya gunjaish nahi.. har cheez hurf e akhir hai .. agar allah nay eik chez aik jaga mana farmadi to woh har jaga mana hi hai aisa kahin bhi nahi iha kay eik jaga eik chez mana hai too doosri jaga usi chez ko allow kya gaya hai .. jab allah nay eik jaga farma diya kay HUm teri hi ibadat kartay hain aur tujh hi say madad mangtay hian to allah SWT nay quran mein kahin yeh nahi bola kay kisi hasti say mangoo...
Duniwai kaam mein koi bih kisi say madad mang skta hai coz kay woh uskay samnay hoota hai .. jaisay ki kay khaibar kay mokay par nabi pbuh nay Hazrat Ali (RA) say madad talab ki.. jaisay kay CAVE mein Nabi pbuh kay sath HAzrat Abu bakr (RA) thay... to duniyawi kamoon mein to koi bhi kisi say bih madad mangsakta hia .. ismein koi harj nahi na hi to yeh shirk hai but u wrote
Kya kabhi kisi nabi nay bola kay meray baad mujhsay madad mangoo ??? kya kabih kisi sahabi nay bola kay meray baad mujhsay maadad mango ??? kya kabih hazrat ali nay bola kay meray janay kay baad mujhsay madad mangoo ?? kya kabih hasan n hussain (RA) nay bola kay meray janay kay baad mujhsay maadad mangoo ???? aur agar koi aise baaton kay baray mein koi hadith bhi daita hia to woh quran ki taleemat kay sarasara khilaaf hoogi Q kay allah swt nay khud Quran mein farmaya hai kay aur Madad sirf Allah hi ki taraf say hai Surah e Ale imran pas tum allah hi ki ibadat karoo aur kisi ko iska shareek na tehraooo Surah Nisa aur aise beshumar ayatain jismein allah swt nay baar baar apni wahdaniat ka zikr kya hai ... kisi aur say mangnay ka to koi sawal hi nahi hoota ....
as I ve explained, kay duniawai kamon mein to koi bhi ksii say madad mang sakta hai...
thank u brother ... but jinka aapnay reference dia hia yeh loog to khud shirk e khaifi mein mubtila hain... yeh loog to khud al madad ya Rasool allah kehtay hain.. almadad ya Ghaus e Azam kahtay hain.... in misaloon say acha hai kay ap aise reference hi na dain.. aur yeh hadithain to bohat door ki baat hian.. mein to quran say agay abhi aa hi nahi raha.... aur meiany pehlay hi boldia tha kay agar koi hadtih quran ki taleemat kay against jayegi to hum usko hamesha neglect karaingay... [ |
| QUOTE |
| yaar aisay kon in logon main say jo app nay likhay hain shaheed hua ....bbion kay sath kya kya mushkilat pesh aaian .......... maulana kaukab ARY par aatay hain unhonay nay bhi yeahi kaha kay imam hussain nay jo kurbani dee hai us ko sunnay kay bad jo sacha momin hoo ga us ki ankh main bhi ansoo ajjnay chahiyin..... kitnay log hain jo gham-e-hussain manatay hain sunni ho kar bhi ......... aur main nay bauhat dekhay hain jo chuti mana rahay hotay hain picnic hoo rahay hotay hain ....... 7th mauharum ko main majlis say aaraha tha kay rock garden main shadi hoo rahi thi aur itnay ba parda log thay aurton aur mardon ka alag intezam tha ....... |
| QUOTE |
| kaukab sahab nay tou matam kay baray main bhi farmaya hai kay matam do kismon ka hota hai kay app apni chaht ka izhar kartay hain aur dusray kay guzar janay par itnay behal ho jatay hain uss state main matam mana nahi hai ........... |
| QUOTE |
| us say pehlay hazrat ali (a.s) ki maulaiat ka hukum bhi tou nahi kiya tha .... gadir ka wakiyay ki agar tasfeer main jaein tou pata chalta hai i will post you the link later bas ek dafa 6th mauharum ki majlis sun loo talib jauhary ki ancholee wali meray pass kay link kho gaya hai us website ka .......... shayad app ko mana hoo majllisein sunna ...... |
| QUOTE |
| jo app logon kay khilaf zara si bhi baat kar day app us ko shirk karnay wala bana detay hain jab tahir alqadri sahab shiaon kay khilaf baat kartay thay tab tou app logon ki ankhon ka tara thay aur jab momin huay tou app logon nay un ko bhi ............. |
| QUOTE |
| nad-e-ali parho ........... hades -e- kisa parhoo yaar |
| QUOTE |
| app dekho kay hum log mazaron par jatay hain kitnay loog jatay hain mazazaron par ............... allah kay naik bandon kay mazar hain un ko izat detay hain kon nahi jata mazaron par kitnay maujzat hotay hain baba abdulah shah ghazi ka mazar hai mazar kay ahatay main logon nay kabrein banwain hain hazaron fatiyahein parhi jati hain rooz |
| QUOTE |
| matlab yeah hai kay allah say tou mangna hi mangna hai par jab waseela ki baat aati hai kitnay loog hazoor-e-akram(s.a.w) kay pass aatay thay kay humaray liye dua karein meray rasool(S.A.W) ki duaein aisi bhi kabool huin kay raat main hi khajoor kay lambay pair ugg gaye yeah bhi tou us admi nay waseela hi use kiya na ............. doctor kay hath main shifa hai tou sirf allah ki dii hui ............ warna allah nachahay tou doctor bhi kuch nhi kar sakta na hi maula ali kuch kar saktay hain ..... |